Qabil-e-Taareef Hai

Qabil-e-Taareef Hai Wo Dil
Jis Mein Allah Ka Zikar Ho
[ To Kyun Na Allah Kay Zikar Se Isay Abaad Rakha Jaye ]

Qabil-e-Taareef Hai Wo Aankh
Jis Mein Haya Ho
[ To Kyun Na Nazron Ko Neecha Rakha Jaye ]

Qabil-e-Taareef Hai Wo Zuban
Jis Par Kisi Kay Liye Dua Ho
[ To Kyun Na Sab Ko Duaon Mein Yaad Rakha Jaye ]

Qabil-e-Taareef Hai Wo Haath
Jis Se Kisi Ko Dukh Na Pohanche
[ To Kyun Na Sab Kay Dukh Dard Baant Liye Jayen ]

Qabil-e-Taareef Hai Wo Qadam
Jo Kisi Be-Yaro-o-Madadgar Ki Madad Kay Liye Uthay
[ To Kyun Na Be-Kaso Ki Madad Ki Jaye ]

Qabil-e-Taareef Hai Wo Kaam (Amal)
Jis Se Doosre Bhi Faida Hasil Kar Saken
Aur Jo Aakhirat Kay Liye Bhi Faidamand Hon
[ To Kyun Na Zada Se Zada Sadqa-e-Jaria Kiya Jaye ]
No comments:
Post a Comment